In order to create a joyful atmosphere in our relationships, we consistently send poetry to our partners. This practice keeps the love growing within our bond. If we were to express our love to our beloved once and then move on, meaning that if we become engrossed in our lives thereafter, our relationship would weaken. That is why we often engage in the art of love poetry to strengthen our relationships. Romantic poetry in Urdu text | Romantic poetry SMS in Urdu for girlfriend.
Tumharay shehr ka mausam bara sahanana lagay
Main ek shaam chura loon agar bura na lagay
Dekho yeh kisi aur ki aankhein hain ke meri
Dekho yeh kisi aur ka chehra hai ke tum ho
Ishq nazuk mizaj hai be-hadd
Aqal ka bojh utha nahin sakta
Kya kaha ishq jawa'dani hai
Aakhri baar mill rahi ho kya
Jun Ilyaas
Aaj dekha hai tujh ko der ke baad
Aaj ka din guzar na jaye kahin
Nasir Kazmi
Main chahon bhi toh woh alfaaz na likh paon
Jis mein bayan ho jaye kitni mohabbat hai tum se
Phir kho na jayein hum kahin duniya ki bher mein
Milti hai paas aane ki mohlat kabhi kabhi
Sahir Ludhianvi
Gala bhi tujh se bohat hai magar mohabbat bhi
Woh baat apni jagah hai, yeh baat apni jagah
Basir Sultan Kazmi
Mohabbaton mein dikhaavay ki dosti na mili
Agar galey nahin miltay toh haath bhi nah mela
Bashir Badr
Aye dost, hum ne tark-e-mohabbat ke bawajood
Mehsoos ki hai teri zaroorat kabhi kabhi
Nasir Kazmi
Tere dil mein mujhe aise umar bhar qaid mile
Ke thak jayen sare wakeel, mujhe zamaanat nah mile
Adhoori baat hai lekin mera kehna zaroori hai
Meri saans chalne tak tera hona zaroori hai
Kin alfazoon mein bayan karoongi ahmiyat teri
Ke bin tere hum aksar namukammal rehte hain
Qurbat toh bari cheez hai aye jaan-e-tamanna
Iss dil ki tasalli ko tera naam bohat hai
Mulaqatein nahin mumkin, ehsas hai lekin
Tumhein hum yaad karte hain, bas itna yaad rakhna tum
Tum kisi ke liye kuch bhi raho lekin mere liye
Meri zindagi, meri jaan ho tum.
Post a Comment